Saturday, November 27, 2010

Aahista kadam rakhna


Aahista kadam rakhna yeh dil ki zamin hai
yahan khoi si aankhon me teri tasveer thami hai

hamne yeh dekha hai tum bhi to kabhi dekho
sooraz ki palkon par shabnam ki nami hai

mana ki pareshan hun tu bhi to parishan hai
hairan hum main dil me tu kis mitti ki bani hai

yeh kaisi kasam de di neendo ko meri tune
aankhen yahn barson se ab khawab nashin hain.

kumar praveen tyagi

No comments:

Post a Comment